I published a song on StarMaker, check out my singing now!
starmaker
[ Ссылка ]
MUSIC COMPOSER : MADAN MOHAN
LYRICIST : KAIFI AZMI
LYRICS :
Kar chale ham fida jaan-o-tan saathiyon
Ab tumhare hawale watan saathiyon
Sans thamti gi, nabj jamti gi
Fir bhi badhte kadam ko na rukane diya
Kat ge sar hamare to kuchh gam nahin
Sar himaalay ka hamane na jhukne diya
Marte marte raha bankpan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan sathiyon
Jinda rahne ke mausam bahut hain magar
Jaan dene ki rut roj ati nahin
Husn aur ishk dono ko ruswa kare
Wo jawani jo khun men nahati nahin
Aaj dharati bani hai dulhan saathiyon
Ab tumhare hawale watan sathiyon
Raah kurbaaniyon ki na wiraan ho
Tum sajate hi rahana ne kafile
Fatah ka jashn is jashn ke baad hai
Jindagi maut se mil rahi hai gale
Baandh lo apane sar se kafan sathiyon
Ab tumhare hawaale watan sathiyon
Kheench do apne khun se zamin par lakir
Is taraf ane paaye na rawan koi
Tod do haath agar haath uthane lage
Chhune paaye na sita ka daaman koi
Raam bhi tum, tumhin lakshman saathiyon
Ab tumhaare hawaale watan saathiyon
Ещё видео!