Kalam Written By Bedam Shah Waris (Alayhi Rahma)
Bekhud kiye dete hain andaaz hijaabana...
Aa dil mein tujhe rakh lun ay jalwa e janana!!!
Kyu Ankh Milayi Thi , Kyu Aag Lagayi Thi Jaana
Ab Rukh Ko Chupa Bethe Karke Mujhe Deewana.
Jis Jaa Nazar Aate Ho Sajdeh Wahin Karta Hu Jaana,
Aur Sajdo Se Hamein Matlab Kaaba Ho Ya Budh Khana.
Jaana Tere Milne Ki Tatbeer Yeh Sochi Hai,
Hum Dil Mein Bana Lenge Chota Sa Sanam-Khana
Mein Hosh O Awaaz Apne Is Baat Pe Kho Betha,
Tumne Jo Kaha Has Kar Yeh Hain Mera Deewana
Pine Ko Toh Pi Lunga Par Arz Sara Si Hain Jaana
Ajmer Ka Sakhi Ho aur Bagdad Ka Paymana.
Itna to karam karna ay chashme karimana...
Jam jaan laboon par ho tum saamne aa jaana!!!
Ji chahta hai tohfe mein bhejun unhein ankhein...
Darshan darshan ka to nazrane ka nazrana!!!
Dunya mein jab tumne mujhe apna banaya hai...
Mehshar mein bhi keh dena ye hai deewaana!!!
Bedam meri qismat mein sajdeh hain isi dar ke,
Chuta hai na chute ga sang e dare jaanana!!!
Malum Nahin Bedam Mein Kaun Hu aur Kya Hu ,
Apne Mein Toh Apna Hu Begano Mein Begana.
![](https://i.ytimg.com/vi/fEcoz7btI5w/mqdefault.jpg)