Nohay 2024 | Mera Jawan Ali Akbar | Ali Moosa Nohay 2024 | Shahadat Ali Akbar Noha 2024/1446
Related - New Noha Mola Ali AKbar (sa) 1446/2024 | Muharram 1446 New Noha 2024, 6 Muharram Noha Hazrat Ali Akbar | New Noha Shahadat Mola Ali Akbar 2024
Reciter - Ali Moosa
Poet - Nadeem Sultanpuri
Chorus - Rizwan Mirza & Team
Audio - ODS
Edit - Azmat Hyder
Video & Production - @AzadariChittora
Lyrics :-
Ye maa ne roke kaha qaza ne cheen liya
mera Jawan ali akbar nowjawan ali
Mujhe ujaad gaya basa ke karbobala Mera
Jawan ali akbar nowjawan ali
1
Ab ek pal bhi meri zindagi me chain nahi
Mera charagh mere Ghar ka zebo Zain nahi
Dhuwan dhuwan hai nazar Mera noore ain nahi
Mera jahaan luta hua hai mujhse juda
Mera Jawan ali akbar nowjawan ali
2
Ujad gai meri duniya bichad gaya akbar
Tabah ho gai Laila bichad gaya akbar
Karun main ji ke bhala kya bichad gaya akbar
Tha zindagi ki wajah Mera wo mahlaka
Mera Jawan ali akbar nowjawan ali
3
Mere pisar ko azeeyat bohat hui hogi
Jigar ke zakhm pe jab ret par gai hogi
Wo ret dhoop ki shiddat se jal rahi hogi
Gira hai zee'n se jaha jigar pe kha ke Sina
Mera Jawan ali akbar nowjawan ali
4
Mai Chand Roz me mannat badha ne wali thi
Mai apne laal ko dulha banane wali thi
Mai uske haath me mehdi lagane wali thi
Rachi ye kaisi Hina Lahu me doob gaya
Mera Jawan ali akbar nowjawan ali
5
Wo din qareeb tha jab mere ghar bahu ati
Mai apne laal ki wo Chaand si dulhan lati
ke jis se gulshane Laila me eid ho ja jati
Ye khwab toot gaya wo din na dekh saka
Mera Jawan ali akbar nowjawan ali
6
Ab umr bhar ka Andhera hai mere gulshan me
Wo jis ke dam se ujala tha mere angan me
Jigar pe kha ke Sina sogaya kahin ban me
Hamara shamso qamar hamare Ghar ka diya mere Jawan ali ak bar nowjawan ali
7
Sune Jo madare muztar ke Bain rone lage
Uda ke khak shahe mashrqain rone lage
Nadeem sar ko jhuka kar hussain rone lage
Bapa tha shore buka ye goonjti thi sada
Mera Jawan ali akbar nowjawan ali
Ещё видео!